Friday, October 10, 2008

गुज़रा जो मिरे दिल प कभी दिल में न रक्खा


















guzra jo mere dil pe kabhi dil me na rakkha
qaatil ko bhi main ne saf-e-qaatil me na rakkha

ab phool ka mausam bhi hai shahpar bhi salamat
parwaaz ka hi shauq ana- dil mein na rakkha

kar deta hai har faisla mujrim hi ke haque me
aadil ka koi wasf bhi aadil mein na rakkha

is haal mein pahuncha ke mujhe khush woh bahut tha
main ne bhi koi shor salaasul mein na rakkha

ik umr yahan dasht-e-nao-radi mein guzaari
aur ek qadam bhi rah-mazil mein na rakkha

mansub tire naam miri sukhta-e- jaani
aur tune mera zikr bhi mahfil mein na rakkha

kuchh itne chamak uthe 'khalish' zakhm hamare
khurshid ko bhi apne muqaabil mein na rakkha



गुज़रा जो मिरे  दिल प कभी दिल में न रक्खा 
क़ातिल  को भी मैंने सफ़-ए-क़ातिल  में न रक्खा 

अब फूल का मौसम भी है शहपर भी सलामत 
परवाज़ का ही शौक़ अना दिल में न रक्खा 

कर देता है हर फ़ैसला मुजरिम ही के हक़ में 
आदिल का कोई वस्फ़ भी आदिल में न रक्खा


इस हाल में पहुंचा के मुझे खुश वोह बहुत था
मैं ने भी कोई शोर सलासुल में न रक्खा 


इक् उम्र यहाँ दश्त-ए-नौ-रदी में गुज़ारी 
और एक क़दम भी रह-मजिल में न रक्खा

मंसूब तिरे नाम मिरी सोख्ता-ए-जानी 
और तू ने मीरा ज़िक्र भी महफ़िल में न रक्खा 

कुछ इतने चमक उठे ख़लिश ज़ख्म हमारे 
खुर्शीद को भी अपने मुकाबिल में न रक्खा